dil mein rahna hai pareshan KHayalon ka hujum
dil meñ rahnā hai pareshān ḳhayāloñ kā hujūm
aur āñkhoñ meñ qayāmat kā samāñ rahtā hai
ishq ke raaz ko jitnā meñ nihāñ rakhtā huuñ
ḳhāmushī se mirī utnā hī ayaañ rahtā hai
rotā rahtā huuñ kisī ġham-zada ke rone par
aur dil-e-markaz-e-ālām jahāñ rahtā hai
rif.at-e-fikr hai hāsil mujhe ulfat ke tufail
jo na ye ho to kahāñ husn-e-bayāñ rahtā hai
lāla-kārī kā salīqa bhī nigah ko aayā
āñsuoñ kī jagah ab ḳhuun ravāñ rahtā hai
kashtī-e-zīst hai girdāb-e-balā meñ 'sā.ib'
āj-kal nām-e-ḳhudā vird-e-zabāñ rahtā hai
dil mein rahna hai pareshan KHayalon ka hujum
aur aankhon mein qayamat ka saman rahta hai
ishq ke raaz ko jitna mein nihan rakhta hun
KHamushi se meri utna hi ayan rahta hai
rota rahta hun kisi gham-zada ke rone par
aur dil-e-markaz-e-alam jahan rahta hai
rifat-e-fikr hai hasil mujhe ulfat ke tufail
jo na ye ho to kahan husn-e-bayan rahta hai
lala-kari ka saliqa bhi nigah ko aaya
aansuon ki jagah ab KHun rawan rahta hai
kashti-e-zist hai girdab-e-bala mein 'saib'
aaj-kal nam-e-KHuda wird-e-zaban rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.