dil mein rahta tha mere jo kabhi dhaDkan ki tarah
dil meñ rahtā thā mire jo kabhī dhaḌkan kī tarah
ab mirī aañkh meñ rahtā hai vo sāvan kī tarah
kaun aaya hai bahāreñ liye merī jānib
merā ehsās mahakne lagā chandan kī tarah
kisī bachche kī tarah ab bhī machaltā hai dil
haal apnā hai javānī meñ bhī bachpan kī tarah
maiñ ne rakkhā na kabhī buġhz-o-kudūrat dil meñ
dil mirā saaf hai shaffāf hai darpan kī tarah
zehn meñ phailī hai afkār ke phūloñ kī mahak
hai mirā dil ye mahakte hue gulshan kī tarah
dil ke darvāze ko hargiz na muqaffal kiije
is ko vā rakhiye hamesha kisī āñgan kī tarah
apne bandoñ se use pyaar hai kitnā 'rāhat'
dil meñ rahtā hai mire apne hī maskan kī tarah
dil mein rahta tha mere jo kabhi dhaDkan ki tarah
ab meri aankh mein rahta hai wo sawan ki tarah
kaun aaya hai bahaaren liye meri jaanib
mera ehsas mahakne laga chandan ki tarah
kisi bachche ki tarah ab bhi machalta hai dil
haal apna hai jawani mein bhi bachpan ki tarah
main ne rakkha na kabhi bughz-o-kudurat dil mein
dil mera saf hai shaffaf hai darpan ki tarah
zehn mein phaili hai afkar ke phulon ki mahak
hai mera dil ye mahakte hue gulshan ki tarah
dil ke darwaze ko hargiz na muqaffal kije
is ko wa rakhiye hamesha kisi aangan ki tarah
apne bandon se use pyar hai kitna 'rahat'
dil mein rahta hai mere apne hi maskan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.