dil mein shoala sa uTha ho jaise
dil meñ sho.ala sā uThā ho jaise
tuur lau de ke jalā ho jaise
vo mire paas se ho kar guzre
sub.h-dam bād-e-sabā ho jaise
ab to roke nahīñ rukte aañsū
aabla phuuT gayā ho jaise
un kī ḳhāmosh nigāhoñ se mujhe
koī paiġhām milā ho jaise
be-sabab kyoñ mirī āñkheñ nam haiñ
us ne phir yaad kiyā ho jaise
ġhunche gulshan meñ hañse ḳhuub hañse
merā afsāna sunā ho jaise
so gayā chhāñv meñ zulfoñ kī 'tarab'
koī rahgīr thakā ho jaise
dil mein shoala sa uTha ho jaise
tur lau de ke jala ho jaise
wo mere pas se ho kar guzre
subh-dam baad-e-saba ho jaise
ab to roke nahin rukte aansu
aabla phuT gaya ho jaise
un ki KHamosh nigahon se mujhe
koi paigham mila ho jaise
be-sabab kyon meri aankhen nam hain
us ne phir yaad kiya ho jaise
ghunche gulshan mein hanse KHub hanse
mera afsana suna ho jaise
so gaya chhanw mein zulfon ki 'tarab'
koi rahgir thaka ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.