dil mein sozish se dhuan ho to ghazal hoti hai
dil meñ sozish se dhuāñ ho to ġhazal hotī hai
ḳhuun āñkhoñ se ravāñ ho to ġhazal hotī hai
ḳhushk āñkheñ hoñ sile hoñT hoñ chehra ḳhandāñ
aur dil nālā-kunāñ ho to ġhazal hotī hai
lutf to jab hai ki is lab ke sivā āñkhoñ meñ
qissa-e-dard bayāñ ho to ġhazal hotī hai
zabt-o-hirmān-o-alam se nahīñ hotī hai ġhazal
auj par azm-e-javāñ ho to ġhazal hotī hai
un se milne kī tamanna hai 'samī.a' muddat se
raaz ye un pe ayaañ ho to ġhazal hotī hai
dil mein sozish se dhuan ho to ghazal hoti hai
KHun aankhon se rawan ho to ghazal hoti hai
KHushk aankhen hon sile honT hon chehra KHandan
aur dil nala-kunan ho to ghazal hoti hai
lutf to jab hai ki is lab ke siwa aankhon mein
qissa-e-dard bayan ho to ghazal hoti hai
zabt-o-hirman-o-alam se nahin hoti hai ghazal
auj par azm-e-jawan ho to ghazal hoti hai
un se milne ki tamanna hai 'samia' muddat se
raaz ye un pe ayan ho to ghazal hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.