dil mein surat koi basi hi nahin
dil meñ sūrat koī basī hī nahīñ
merī hālat kabhī ye thī hī nahīñ
zindagī dī phir us pe ḳhvāb diye
baat ik dukh se kyā banī hī nahīñ
yuuñ to har baat se hī huuñ raazī
maiñ ne apnī kabhī kahī hī nahīñ
ḳhuub tark-e-vafā kā aayā ḳhayāl
merī ḳhud par magar chalī hī nahīñ
bin tumhāre bhī muskurāte dikheñ
ham se rasm-e-jahāñ nibhī hī nahīñ
kyā kahā ḳhush ho ishq kar ke tum
aag ya.anī abhī lagī hī nahīñ
dil mein surat koi basi hi nahin
meri haalat kabhi ye thi hi nahin
zindagi di phir us pe KHwab diye
baat ek dukh se kya bani hi nahin
yun to har baat se hi hun raazi
main ne apni kabhi kahi hi nahin
KHub tark-e-wafa ka aaya KHayal
meri KHud par magar chali hi nahin
bin tumhaare bhi muskuraate dikhen
hum se rasm-e-jahan nibhi hi nahin
kya kaha KHush ho ishq kar ke tum
aag yani abhi lagi hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.