dil mein Thahra dard nigoDa kuza-gar
dil meñ Thahrā dard nigoḌā kūza-gar
kaise moḌ pe tū ne chhoḌā kūza-gar
maiñ bhī ḳhud se rūThī rūThī rahtī huuñ
jab se tū ne mukh hai moḌā kūza-gar
ab to bikhre bikhre haiñ ajzā mere
joḌā thā to kyūñ-kar toḌā kūza-gar
merī hastī meñ bhī terī hastī hai
merā mujh meñ kuchh bhī na chhoḌā kūza-gar
maiñ ne ḳhud meñ terī yaad sajā.ī hai
jab bhī tū ne tanhā chhoḌā kūza-gar
rag rag meñ ab mahshar barpā rahtā hai
dukh thā pahle bhī kab thoḌā kūza-gar
kis ne mujh se chehra merā chhīnā hai
kis ne merā ḳhuun nichoḌā kūza-gar
dil mein Thahra dard nigoDa kuza-gar
kaise moD pe tu ne chhoDa kuza-gar
main bhi KHud se ruThi ruThi rahti hun
jab se tu ne mukh hai moDa kuza-gar
ab to bikhre bikhre hain ajza mere
joDa tha to kyun-kar toDa kuza-gar
meri hasti mein bhi teri hasti hai
mera mujh mein kuchh bhi na chhoDa kuza-gar
main ne KHud mein teri yaad sajai hai
jab bhi tu ne tanha chhoDa kuza-gar
rag rag mein ab mahshar barpa rahta hai
dukh tha pahle bhi kab thoDa kuza-gar
kis ne mujh se chehra mera chhina hai
kis ne mera KHun nichoDa kuza-gar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.