dil mein ulTa sidha chalta rahta hai
dil meñ ulTā sīdhā chaltā rahtā hai
chhat par koī tanhā chaltā rahtā hai
roz maiñ ghar kī ik dīvār girātā huuñ
ik mazdūr kā ḳharcha chaltā rahtā hai
maiñ bekār nahīñ huuñ yaar chalā.e rakh
jab tak khoTā sikka chaltā rahtā hai
khiḌkī ek havā se khultī rahtī ho
nukkaḌ vaalā khokhā chaltā rahtā hai
aañkh meñ aur samay ke manzar hote haiñ
dil meñ aur zamāna chaltā rahtā hai
ghar daftar mahbūb umīdeñ andeshe
us ke dil meñ kyā kyā chaltā rahtā hai
aaj vo kis se Tek lagā kar baiThegā
dīvāroñ meñ jhagḌā chaltā rahtā hai
dil mein ulTa sidha chalta rahta hai
chhat par koi tanha chalta rahta hai
roz main ghar ki ek diwar giraata hun
ek mazdur ka KHarcha chalta rahta hai
main bekar nahin hun yar chalae rakh
jab tak khoTa sikka chalta rahta hai
khiDki ek hawa se khulti rahti ho
nukkaD wala khokha chalta rahta hai
aankh mein aur samay ke manzar hote hain
dil mein aur zamana chalta rahta hai
ghar daftar mahbub umiden andeshe
us ke dil mein kya kya chalta rahta hai
aaj wo kis se Tek laga kar baiThega
diwaron mein jhagDa chalta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.