dil mein unki aarzu hone lagi
dil meñ un kī aarzū hone lagī
aa.ine se guftugū hone lagī
ham ne keval phuul kā bosa liyā
jaane kyoñ vo surḳh-rū hone lagī
zaḳhm kuchh kuchh bhar chale yā yuuñ kaheñ
zindagī phir se shurū' hone lagī
ab to ham ko ashk piinā aa gayā
baat ye sab kū-ba-kū hone lagī
sirf apne aap meñ hī gum huā
aur merī justujū hone lagī
chāhtā huuñ maiñ use aur vo mujhe
ab ye charchā rū-ba-rū hone lagī
sirf un kī baat mahfil meñ chalī
un kī ḳhushbū chār-sū hone lagī
dil mein un ki aarzu hone lagi
aaine se guftugu hone lagi
hum ne kewal phul ka bosa liya
jaane kyon wo surKH-ru hone lagi
zaKHm kuchh kuchh bhar chale ya yun kahen
zindagi phir se shuru' hone lagi
ab to hum ko ashk pina aa gaya
baat ye sab ku-ba-ku hone lagi
sirf apne aap mein hi gum hua
aur meri justuju hone lagi
chahta hun main use aur wo mujhe
ab ye charcha ru-ba-ru hone lagi
sirf un ki baat mahfil mein chali
un ki KHushbu chaar-su hone lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.