dil mein us bani-e-be-dad ke ghar hone do
dil mein us bani-e-be-dad ke ghar hone do
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
dil meñ us bānī-e-be-dād ke ghar hone do
rafta-rafta mirī aahoñ kā asar hone do
ab to vo fart-e-mohabbat se ye farmāte haiñ
ghar na jā.eñge jo hotī hai sahar hone do
shauq se hāthoñ meñ mehñdī malo tum to apne
ḳhuun hotā hai agar merā jigar hone do
zulf sarkāo zarā āriz-e-tābāñ se kabhī
chāñdnī raat ko ai rashk-e-qamar hone do
sard-mehrī se na ik aan bhī baaz aao tum
ruuh merī hai agar garm-e-safar hone do
mehr-o-ulfat hī meñ is tarah ke hote haiñ kalām
roz hotā hai agar vasl meñ shar hone do
teġh-e-abrū ke abhī vaar abas karte ho
tum mujhe bhī to zarā sīna-sipar hone do
muddatoñ se vo yūñhī Tālte haiñ va.ada-e-vasl
shaam hotī hai to kahte haiñ sahar hone do
na koī fikr kisī tarah karo tum 'vahbī'
umr jis tarah se hotī hai basar hone do
dil mein us bani-e-be-dad ke ghar hone do
rafta-rafta meri aahon ka asar hone do
ab to wo fart-e-mohabbat se ye farmate hain
ghar na jaenge jo hoti hai sahar hone do
shauq se hathon mein mehndi malo tum to apne
KHun hota hai agar mera jigar hone do
zulf sarkao zara aariz-e-taban se kabhi
chandni raat ko ai rashk-e-qamar hone do
sard-mehri se na ek aan bhi baz aao tum
ruh meri hai agar garm-e-safar hone do
mehr-o-ulfat hi mein is tarah ke hote hain kalam
roz hota hai agar wasl mein shar hone do
tegh-e-abru ke abhi war abas karte ho
tum mujhe bhi to zara sina-sipar hone do
muddaton se wo yunhi Talte hain wada-e-wasl
sham hoti hai to kahte hain sahar hone do
na koi fikr kisi tarah karo tum 'wahbi'
umr jis tarah se hoti hai basar hone do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.