dil mein us but ke pyar kis ka hai
dil meñ us but ke pyaar kis kā hai
bevafā hai vo yaar kis kā hai
ham jatāte haiñ e'timād apnā
par use e.atibār kis kā hai
sach batāo mujhe tum ai āñkho
aaj ye intizār kis kā hai
mujh ko kahte ho bad-mizāj hai tū
ruuTh jaanā shi.ār kis kā hai
rashk aatā hai mujh ko laala par
ye dil-e-dāġh-dār kis kā hai
bhuul baiThe ho kuchh pahan ke ise
sach batāo ye haar kis kā hai
tū hī kah andalīb dāġhoñ se
siina bāġh-o-bahār kis kā hai
dekh tū aa ke ai shikār-andāz
tiir ye dil ke paar kis kā hai
mar gayā kaun tere kūche meñ
yaañ ye taaza mazār kis kā hai
'nāmī' jaatī hai har qadam par jaan
aah ye rahguzār kis kā hai
dil mein us but ke pyar kis ka hai
bewafa hai wo yar kis ka hai
hum jatate hain e'timad apna
par use eatibar kis ka hai
sach batao mujhe tum ai aankho
aaj ye intizar kis ka hai
mujh ko kahte ho bad-mizaj hai tu
ruTh jaana shiar kis ka hai
rashk aata hai mujh ko lala par
ye dil-e-dagh-dar kis ka hai
bhul baiThe ho kuchh pahan ke ise
sach batao ye haar kis ka hai
tu hi kah andalib daghon se
sina bagh-o-bahaar kis ka hai
dekh tu aa ke ai shikar-andaz
tir ye dil ke par kis ka hai
mar gaya kaun tere kuche mein
yan ye taza mazar kis ka hai
'nami' jati hai har qadam par jaan
aah ye rahguzar kis ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.