dil mein wo bahr-e-latafat jalwa-farma ho gaya
dil mein wo bahr-e-latafat jalwa-farma ho gaya
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
dil meñ vo bahr-e-latāfat jalva-farmā ho gayā
band kis ḳhūbī se is kuuze meñ dariyā ho gayā
jab milā banda ḳhudā se kyā kahūñ kyā ho gayā
qatra dariyā meñ pahuñch kar ain dariyā ho gayā
naddiyāñ aisī mire ashk-e-nadāmat se bahīñ
arsa-e-mehshar meñ ek tūfān barpā ho gayā
bād-e-ġhusl ab jāma-e-nau aqrabā pahnā.eñge
raḳht-e-hastī terā duniyā meñ purānā ho gayā
o sitamgar ho gayā terā qatīl-e-nāz sard
le kaleja terā qātil ab to ThanDā ho gayā
donoñ aalam ke tamāshe is meñ aate haiñ nazar
jām-e-jam hai dil kisī kā gar musaffā ho gayā
kahte haiñ kyā muñh lagā kar nuqta-e-mauhūm se
khul gayā uqda dahan kā tū jo goyā ho gayā
kullo-shai.in yarji’u ke khul ga.e ma.anī mujhe
maiñ musāfir jis ghaḌī mulk-e-baqā kā ho gayā
jab paḌī 'akbar' nazar apnī jamāl-e-yār par
dīda-e-mushtāq apnā chashm-e-mūsā ho gayā
dil mein wo bahr-e-latafat jalwa-farma ho gaya
band kis KHubi se is kuze mein dariya ho gaya
jab mila banda KHuda se kya kahun kya ho gaya
qatra dariya mein pahunch kar ain dariya ho gaya
naddiyan aisi mere ashk-e-nadamat se bahin
arsa-e-mehshar mein ek tufan barpa ho gaya
baad-e-ghusl ab jama-e-nau aqraba pahnaenge
raKHt-e-hasti tera duniya mein purana ho gaya
o sitamgar ho gaya tera qatil-e-naz sard
le kaleja tera qatil ab to ThanDa ho gaya
donon aalam ke tamashe is mein aate hain nazar
jam-e-jam hai dil kisi ka gar musaffa ho gaya
kahte hain kya munh laga kar nuqta-e-mauhum se
khul gaya uqda dahan ka tu jo goya ho gaya
kullo-shain yarji’u ke khul gae mani mujhe
main musafir jis ghaDi mulk-e-baqa ka ho gaya
jab paDi 'akbar' nazar apni jamal-e-yar par
dida-e-mushtaq apna chashm-e-musa ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.