dil mein wo kaifiyat-e-nashsha-e-sahba hi nahin
dil mein wo kaifiyat-e-nashsha-e-sahba hi nahin
Habeeb Ahmad Siddiqui
MORE BYHabeeb Ahmad Siddiqui
dil meñ vo kaifiyat-e-nashsha-e-sahbā hī nahīñ
darpai-e-hosh nigāh-e-tarab-afzā hī nahīñ
lāla-o-gul meñ kashish hai na mah-o-anjum meñ
ab nigāhoñ pe hijābāt-e-tamanna hī nahīñ
is tarah mujh se taḳhātub hai ki jaise maiñ ne
chashm-e-mushtāq se un ko kabhī dekhā hī nahīñ
kyā bane koī harīf-e-nigah-e-sehr-tarāz
himmat-afzā koī dar-parda ishārā hī nahīñ
dāman-e-ġham bhī kahīñ chhūT na jaa.e hamdam
zindagī ke liye phir koī sahārā hī nahīñ
is qadar ḳhūgar-e-bedād kiyā duniyā ne
ab mujhe shikva-e-be-mehrī-e-duniyā hī nahīñ
dil hai ḳhuuñ ruuh hai betāb nazar hai ḳhīra
ham ye samjhe the ki pādāsh-e-tamanna hī nahīñ
chashm-e-mushtāq se ghabrā ga.ī chashm-e-ḳhandāñ
merī nazroñ ko taqāze kā salīqa hī nahīñ
kyā kareñ gar na ji.eñ kausar-o-tūbā ke liye
jin ġharīboñ ke liye rāht-e-duniyā hī nahīñ
dil mein wo kaifiyat-e-nashsha-e-sahba hi nahin
darpai-e-hosh nigah-e-tarab-afza hi nahin
lala-o-gul mein kashish hai na mah-o-anjum mein
ab nigahon pe hijabaat-e-tamanna hi nahin
is tarah mujh se taKHatub hai ki jaise main ne
chashm-e-mushtaq se un ko kabhi dekha hi nahin
kya bane koi harif-e-nigah-e-sehr-taraaz
himmat-afza koi dar-parda ishaara hi nahin
daman-e-gham bhi kahin chhuT na jae hamdam
zindagi ke liye phir koi sahaara hi nahin
is qadar KHugar-e-bedad kiya duniya ne
ab mujhe shikwa-e-be-mehri-e-duniya hi nahin
dil hai KHun ruh hai betab nazar hai KHira
hum ye samjhe the ki padash-e-tamanna hi nahin
chashm-e-mushtaq se ghabra gai chashm-e-KHandan
meri nazron ko taqaze ka saliqa hi nahin
kya karen gar na jien kausar-o-tuba ke liye
jin gharibon ke liye raht-e-duniya hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.