dil mein wo the dil tha raushan ab KHuda ka nam hai
dil meñ vo the dil thā raushan ab ḳhudā kā naam hai
vo thā āġhāz-e-mohabbat aur ye anjām hai
zabt-e-ġham kā silsila ab juzv-e-hastī ban gayā
chāhe jo kuchh bhī kareñ vo mere sar ilzām hai
bistar-e-gul par jo mahv-e-ḳhvāb haiñ vo jāneñ kyā
zindagī ḳhār-e-alam hai teġh-e-ḳhūñ-āshām hai
husn ko sanjāb-o-maḳhmal ishq ko jāma-darī
bārgāh-e-haq se ulfat kā yahī in.aam hai
ḳhaam hai jis kā shu.ūr-e-zindagī jaane vo kyā
har hasīñ shai meñ ḳhushī kā aaj bhī paiġhām hai
jalva-hā-e-rang-o-bū kyā dāvat-e-fikr-o-nazar
zindagī kyā hai musalsal justujū kā naam hai
ḳhuun jab ġhunchoñ kā hotā hai to khilte haiñ gulāb
parda-e-taḳhrīb meñ ta.amīr kā paiġhām hai
chashm-e-insāñ meñ huī taqdīr-e-ālam be-hijāb
markaz-e-tasḳhīr ab to charḳh-e-nīlī-fām hai
zindagī kā raaz kyā hai yā fanā kyā chiiz hai
tū 'payāmī' ramz samjhe ye ḳhayāl-e-ḳhām hai
dil mein wo the dil tha raushan ab KHuda ka nam hai
wo tha aaghaz-e-mohabbat aur ye anjam hai
zabt-e-gham ka silsila ab juzw-e-hasti ban gaya
chahe jo kuchh bhi karen wo mere sar ilzam hai
bistar-e-gul par jo mahw-e-KHwab hain wo jaanen kya
zindagi KHar-e-alam hai tegh-e-KHun-asham hai
husn ko sanjab-o-maKHmal ishq ko jama-dari
bargah-e-haq se ulfat ka yahi inam hai
KHam hai jis ka shuur-e-zindagi jaane wo kya
har hasin shai mein KHushi ka aaj bhi paigham hai
jalwa-ha-e-rang-o-bu kya dawat-e-fikr-o-nazar
zindagi kya hai musalsal justuju ka nam hai
KHun jab ghunchon ka hota hai to khilte hain gulab
parda-e-taKHrib mein tamir ka paigham hai
chashm-e-insan mein hui taqdir-e-alam be-hijab
markaz-e-tasKHir ab to charKH-e-nili-fam hai
zindagi ka raaz kya hai ya fana kya chiz hai
tu 'payami' ramz samjhe ye KHayal-e-KHam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.