dil mein yaadon ke dagh jalte hain
dil meñ yādoñ ke daaġh jalte haiñ
yā bahāroñ meñ baaġh jalte haiñ
jagmagātā hai aur vo chehra
raat meñ jab charāġh jalte haiñ
jab kabhī chāñdnī chaTaktī hai
ḳhālī ḳhālī ayāġh jalte haiñ
lab pe aatā hai jab bhī naam un kā
hasratoñ ke charāġh jalte haiñ
dushmanoñ kī salīqa-mandī se
dostoñ ke dimāġh jalte haiñ
maut kī raushnī baḌhāne ko
zindagī ke charāġh jalte haiñ
ek bujhtā hai ik sulagtā hai
ziist ke yuuñ charāġh jalte haiñ
haa.e kyā shai hai rang-e-ātish-e-gul
bulbuloñ ke dimāġh jalte haiñ
sho.ala sho.ala ho dil agar 'rāhī'
āñdhiyoñ meñ charāġh jalte haiñ
dil mein yaadon ke dagh jalte hain
ya bahaaron mein bagh jalte hain
jagmagata hai aur wo chehra
raat mein jab charagh jalte hain
jab kabhi chandni chaTakti hai
KHali KHali ayagh jalte hain
lab pe aata hai jab bhi nam un ka
hasraton ke charagh jalte hain
dushmanon ki saliqa-mandi se
doston ke dimagh jalte hain
maut ki raushni baDhane ko
zindagi ke charagh jalte hain
ek bujhta hai ek sulagta hai
zist ke yun charagh jalte hain
hae kya shai hai rang-e-atish-e-gul
bulbulon ke dimagh jalte hain
shoala shoala ho dil agar 'rahi'
aandhiyon mein charagh jalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.