dil mein ye ek Dar hai barabar bana hua
dil meñ ye ek Dar hai barābar banā huā
miTTī meñ mil na jaa.e kahīñ ghar banā huā
ik lafz bevafā kahā us ne phir is ke baa'd
maiñ us ko dekhtā rahā patthar banā huā
jab āñsuoñ meñ bah ga.e yādoñ ke saare naqsh
āñkhoñ meñ kaise rah gayā manzar banā huā
lahro! batāo tum ne use kyuuñ miTā diyā
ḳhvāboñ kā ik mahal thā yahāñ par banā huā
vo kyā thā aur tum ne use kyā banā diyā
itrā rahā hai qatra samundar banā huā
dil mein ye ek Dar hai barabar bana hua
miTTi mein mil na jae kahin ghar bana hua
ek lafz bewafa kaha us ne phir is ke ba'd
main us ko dekhta raha patthar bana hua
jab aansuon mein bah gae yaadon ke sare naqsh
aankhon mein kaise rah gaya manzar bana hua
lahro! batao tum ne use kyun miTa diya
KHwabon ka ek mahal tha yahan par bana hua
wo kya tha aur tum ne use kya bana diya
itra raha hai qatra samundar bana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.