dil mein yun jalte hain yaadon ke sahaaron ke charagh
dil meñ yuuñ jalte haiñ yādoñ ke sahāroñ ke charāġh
jaise raushan hoñ sar-e-shām sitāroñ ke charāġh
abhī jaao shab-e-furqat kā ujālā ban kar
ab to maddham hue jaate haiñ sitāroñ ke charāġh
shab-e-tārīk se ai qāfile vaalo na Daro
haiñ mire naqsh-e-qadam rāh-guzāroñ ke charāġh
kis jagah haa.e sar-e-shām safīna Duubā
jab bahut paas nazar aa.e kināroñ ke charāġh
yuuñ pata dete haiñ manzil kā tire naqsh-e-qadam
jaise bhaTke hue raahī ko dayāroñ ke charāġh
gar yahī hai ravish-e-ahl-e-gulistāñ to 'qavī'
jal sakeñge na gulistāñ meñ bahāroñ ke charāġh
dil mein yun jalte hain yaadon ke sahaaron ke charagh
jaise raushan hon sar-e-sham sitaron ke charagh
abhi jao shab-e-furqat ka ujala ban kar
ab to maddham hue jate hain sitaron ke charagh
shab-e-tarik se ai qafile walo na Daro
hain mere naqsh-e-qadam rah-guzaron ke charagh
kis jagah hae sar-e-sham safina Duba
jab bahut pas nazar aae kinaron ke charagh
yun pata dete hain manzil ka tere naqsh-e-qadam
jaise bhaTke hue rahi ko dayaron ke charagh
gar yahi hai rawish-e-ahl-e-gulistan to 'qawi'
jal sakenge na gulistan mein bahaaron ke charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.