dil mera mail-e-fughan na hua
dil mirā mā.il-e-fuġhāñ na huā
aag jaltī rahī dhuāñ na huā
mujh se apnā bhī ġham bayāñ na huā
dard sharminda-e-zabāñ na huā
ham zamāne ko koste hī rahe
apne kirdār par gumāñ na huā
laakh zebā.ish-e-qafas to kī
ye qafas phir bhī āshiyāñ na huā
āḳhir un ko bhī merī yaad aa.ī
dard-e-dil merā rā.egāñ na huā
qissa-e-dard rū-ba-rū un ke
fart-e-jazbāt meñ bayāñ na huā
jo malā.ik se bār-e-ġham na uThā
dil-e-insāñ pe vo girāñ na huā
ek aañsū ne kah diyā jo kuchh
sau zabāñ se bhī vo bayāñ na huā
dil mera mail-e-fughan na hua
aag jalti rahi dhuan na hua
mujh se apna bhi gham bayan na hua
dard sharminda-e-zaban na hua
hum zamane ko koste hi rahe
apne kirdar par guman na hua
lakh zebaish-e-qafas to ki
ye qafas phir bhi aashiyan na hua
aaKHir un ko bhi meri yaad aai
dard-e-dil mera raegan na hua
qissa-e-dard ru-ba-ru un ke
fart-e-jazbaat mein bayan na hua
jo malaik se bar-e-gham na uTha
dil-e-insan pe wo giran na hua
ek aansu ne kah diya jo kuchh
sau zaban se bhi wo bayan na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.