dil mera aashiqi se Darta hai
dil mirā 'āshiqī se Dartā hai
be-vajah ḳhud-kushī se Dartā hai
dostī ke qubūl haiñ ḳhatre
dil magar dushmanī se Dartā hai
surḳh mausam badal rahā āḳhir
ḳhaar bhī ab kalī se Dartā hai
yaar de jaa.e kab daġhā koī
dil usī bebasī se Dartā hai
log īmān māñgte mujh se
aur dil muflisī se Dartā hai
dil lagāyā abhī abhī maiñ ne
aur dil hai abhī se Dartā hai
yaar sapne dikhā rahe haiñ 'dharam'
dil isī dil-lagī se Dartā hai
dil mera 'ashiqi se Darta hai
be-wajah KHud-kushi se Darta hai
dosti ke qubul hain KHatre
dil magar dushmani se Darta hai
surKH mausam badal raha aaKHir
KHar bhi ab kali se Darta hai
yar de jae kab dagha koi
dil usi bebasi se Darta hai
log iman mangte mujh se
aur dil muflisi se Darta hai
dil lagaya abhi abhi main ne
aur dil hai abhi se Darta hai
yar sapne dikha rahe hain 'dharam'
dil isi dil-lagi se Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.