dil mera nang raha karta hai
dil mirā nang rahā kartā hai
rang be-rang rahā kartā hai
har ghaḌī mujh se vo turk-e-ḳhūñrez
barsar-e-jang rahā kartā hai
tujh se pūchheñ to ye kahnā qāsid
ziist se tang rahā kartā hai
ashk-bārī se mirā dīda-e-tar
sāhil-e-gang rahā kartā hai
dekh kar tujh ko ba-chashm-e-hairat
aa.ina dang rahā kartā hai
ġhair ham-palla ho merā kyā zikr
misl-e-pāsang rahā kartā hai
ġhair se ġhair hue sūrat-e-bazm
aur hī rang rahā kartā hai
dost ho yā ki adū ho 'sābir'
sab se yak-rang rahā kartā hai
dil mera nang raha karta hai
rang be-rang raha karta hai
har ghaDi mujh se wo turk-e-KHunrez
barsar-e-jang raha karta hai
tujh se puchhen to ye kahna qasid
zist se tang raha karta hai
ashk-bari se mera dida-e-tar
sahil-e-gang raha karta hai
dekh kar tujh ko ba-chashm-e-hairat
aaina dang raha karta hai
ghair ham-palla ho mera kya zikr
misl-e-pasang raha karta hai
ghair se ghair hue surat-e-bazm
aur hi rang raha karta hai
dost ho ya ki adu ho 'sabir'
sab se yak-rang raha karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.