dil mere aaj phir kushada hai
dil mire aaj phir kushāda hai
zaḳhm khāne kā phir irāda hai
ruuh jaisī aziim shai ke liye
jism jaisā koī labāda hai
vo to kal hī bichhaḌ gayā mujh se
aaj phir dard kyoñ ziyāda hai
kis safar par hai gāmzan ḳhilqat
jis kī manzil na koī jaada hai
'mīr'-o-'ġhālib' mirā ta.āruf haiñ
haa.e kyā merā ḳhānvāda hai
ab bhī us par yaqīn hai terā
tū bhī 'iqrār' kitnā saadā hai
dil mere aaj phir kushada hai
zaKHm khane ka phir irada hai
ruh jaisi azim shai ke liye
jism jaisa koi labaada hai
wo to kal hi bichhaD gaya mujh se
aaj phir dard kyon ziyaada hai
kis safar par hai gamzan KHilqat
jis ki manzil na koi jada hai
'mir'-o-'ghaalib' mera taaruf hain
hae kya mera KHanwada hai
ab bhi us par yaqin hai tera
tu bhi 'iqrar' kitna sada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.