dil miTe pyar ki apealon par
dil miTe pyaar kī apealoñ par
tohmateñ lag ga.iiñ qabīloñ par
qāfiloñ kī kathā kitāboñ meñ
fāsloñ kī sadā fasīloñ par
bhej sakhiyoñ ke haath mat sandes
yuuñ bharosa na kar vakīloñ par
seb chahkār jañgalī chiḌiyāñ
raat vaadī meñ chāñd jhīloñ par
aur jī ko piyā milan ke jatan
aur pirītam kā gaañv mīloñ par
khelnā chun ke sīpiyāñ sikke
bhīgnā bārishoñ meñ Tīloñ par
man kī rusvā.iyāñ sabīloñ se
tan kī tanhā.iyāñ dalīloñ par
jhūleñ nadiyāñ inhīñ navāhoñ meñ
phūleñ sadiyāñ inhīñ fasīloñ par
dil ke sambandh dil kī girhoñ se
uun sīloñ meñ goT rīloñ par
dil miTe pyar ki apealon par
tohmaten lag gain qabilon par
qafilon ki katha kitabon mein
faslon ki sada fasilon par
bhej sakhiyon ke hath mat sandes
yun bharosa na kar wakilon par
seb chahkar jangali chiDiyan
raat wadi mein chand jhilon par
aur ji ko piya milan ke jatan
aur piritam ka ganw milon par
khelna chun ke sipiyan sikke
bhigna barishon mein Tilon par
man ki ruswaiyan sabilon se
tan ki tanhaiyan dalilon par
jhulen nadiyan inhin nawahon mein
phulen sadiyan inhin fasilon par
dil ke sambandh dil ki girhon se
un silon mein goT rilon par
- Book : Ban Baas (Pg. 321)
- Author : Naasir Shahzaad
- Publication : Alhamd Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.