dil mulamma’-saziyon se bhar gae
dil mulamma’-sāziyoñ se bhar ga.e
baaġh naqlī titliyoñ se bhar ga.e
aa.iiñ jab stadium meñ laḌkiyāñ
hall yak dam sīTiyoñ se bhar ga.e
khokhle hone lage haiñ qahqahe
aa.ine kaTh-putliyoñ se bhar ga.e
kyā banā dī aadmī kī zindagī
shahr saare vahshiyoñ se bhar ga.e
vo saḌak par paañv dhartī ḳhūb-rū
sab gharauñde khiḌkiyoñ se bhar ga.e
kho gayā ras jāduī āvāz kā
kaan aise jhiḌkiyoñ se bhar ga.e
jin ke zaḳhmoñ par namak masle ga.e
haspatāl un zaḳhmiyoñ se bhar ga.e
karvaToñ se uubte pahlū rahe
mez kitne shīshiyoñ se bhar ga.e
pheñk diiñ baisākhiyāñ tairāk ne
saare dariyā kashtiyoñ se bhar ga.e
raakh kaise phuul meñ badlī ga.ī
ḳhvāb kis kī shoḳhiyoñ se bhar ga.e
un laboñ se rāt-bhar phūTe suḳhan
aur chashme motiyoñ se bhar ga.e
dastakoñ ke zor se dar khul ga.e
kaan bajtī uñgliyoñ se bhar ga.e
dil mulamma’-saziyon se bhar gae
bagh naqli titliyon se bhar gae
aain jab stadium mein laDkiyan
hall yak dam siTiyon se bhar gae
khokhle hone lage hain qahqahe
aaine kaTh-putliyon se bhar gae
kya bana di aadmi ki zindagi
shahr sare wahshiyon se bhar gae
wo saDak par panw dharti KHub-ru
sab gharaunde khiDkiyon se bhar gae
kho gaya ras jadui aawaz ka
kan aise jhiDkiyon se bhar gae
jin ke zaKHmon par namak masle gae
haspatal un zaKHmiyon se bhar gae
karwaTon se ubte pahlu rahe
mez kitne shishiyon se bhar gae
phenk din baisakhiyan tairak ne
sare dariya kashtiyon se bhar gae
rakh kaise phul mein badli gai
KHwab kis ki shoKHiyon se bhar gae
un labon se raat-bhar phuTe suKHan
aur chashme motiyon se bhar gae
dastakon ke zor se dar khul gae
kan bajti ungliyon se bhar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.