dil na jaane kyon lagaya kar gaya ghayal mujhe
dil na jaane kyoñ lagāyā kar gayā ghāyal mujhe
reshmī zulfoñ kā saaya kar gayā ghāyal mujhe
jaane kitnī baar us ne is tarah dekhā mujhe
maiñ use jab tak samajhtā kar gayā ghāyal mujhe
ḳhuun ke aañsū bahāte jā rahe haiñ zaḳhm-e-dil
is tarah vo paas aayā kar gayā ghāyal mujhe
lag rahā hai ab añdheroñ meñ kaTegī zindagī
jo diyā maiñ ne jalāyā kar gayā ghāyal mujhe
jis ko apnā jānñe kī bhuul mujh se ho ga.ī
ai 'hasan' vo thā parāyā kar gayā ghāyal mujhe
dil na jaane kyon lagaya kar gaya ghayal mujhe
reshmi zulfon ka saya kar gaya ghayal mujhe
jaane kitni bar us ne is tarah dekha mujhe
main use jab tak samajhta kar gaya ghayal mujhe
KHun ke aansu bahate ja rahe hain zaKHm-e-dil
is tarah wo pas aaya kar gaya ghayal mujhe
lag raha hai ab andheron mein kaTegi zindagi
jo diya main ne jalaya kar gaya ghayal mujhe
jis ko apna jaanne ki bhul mujh se ho gai
ai 'hasan' wo tha paraya kar gaya ghayal mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.