dil na lagne ka ek bahana tha
dil na lagne ka ek bahana tha
Maqsood Alam Khan Alam Barelvi
MORE BYMaqsood Alam Khan Alam Barelvi
dil na lagne kā ik bahānā thā
kyoñ Thaharte vo un ko jaanā thā
ham ne qadmoñ meñ rakh diyā sar ko
vo the rūThe hue manānā thā
merī āñkhoñ pe hai magar ehsāñ
un ko parda kabhī uThānā thā
ek thī jumbish-e-nazar kaafī
merī bigḌī kā kyā banānā thā
thī na ġhairoñ se gar tujhe fursat
mujh se hargiz na dil lagānā thā
kyoñ mire saath saath vo chalte
un ke qadmoñ meñ ḳhud zamāna thā
dil lagānā kahāñ thā ye 'ālam'
ḳhūn-e-dil is tarah bahānā thā
dil na lagne ka ek bahana tha
kyon Thaharte wo un ko jaana tha
hum ne qadmon mein rakh diya sar ko
wo the ruThe hue manana tha
meri aankhon pe hai magar ehsan
un ko parda kabhi uThana tha
ek thi jumbish-e-nazar kafi
meri bigDi ka kya banana tha
thi na ghairon se gar tujhe fursat
mujh se hargiz na dil lagana tha
kyon mere sath sath wo chalte
un ke qadmon mein KHud zamana tha
dil lagana kahan tha ye 'alam'
KHun-e-dil is tarah bahana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.