dil na qabu mein hai na dilbar hai
dil na qaabū meñ hai na dilbar hai
maut is zindagī se behtar hai
ā.īye jab mizāj meñ aa.e
ḳhāna-e-dil huzūr kā ghar hai
ai ajal ḳhāna-e-jahāñ se nikāl
ki ye ehsān had se bāhar hai
rone baiThūñ to log kahte haiñ
abr-e-tar hai ki dīda-e-tar hai
kahtī hai ḳhūbī-e-ḳhirām-e-butāñ
kabk pā-posh ke barābar hai
thak ga.e kū dukān-e-sang-andāz
terā dīvāna hai ki patthar hai
ḳhush haiñ is sarv-e-nāz se gul-o-sarv
dost-parvar hai banda-parvar hai
pūchhte kyā ho is faqīr kā haal
ab to takiya faqat ḳhudā par hai
vahī achchhe jo ḳhāna-vīrāñ haiñ
ghar banānā fasād kā ghar hai
ḳhvāb meñ bū-e-yār aatī hai
farsh to farsh ghar mo.attar hai
kyoñ na chamke ġhazal tamām ai 'rashk'
muñh kā mazmūn māh-e-anvar hai
dil na qabu mein hai na dilbar hai
maut is zindagi se behtar hai
aaiye jab mizaj mein aae
KHana-e-dil huzur ka ghar hai
ai ajal KHana-e-jahan se nikal
ki ye ehsan had se bahar hai
rone baiThun to log kahte hain
abr-e-tar hai ki dida-e-tar hai
kahti hai KHubi-e-KHiram-e-butan
kabk pa-posh ke barabar hai
thak gae ku dukan-e-sang-andaz
tera diwana hai ki patthar hai
KHush hain is sarw-e-naz se gul-o-sarw
dost-parwar hai banda-parwar hai
puchhte kya ho is faqir ka haal
ab to takiya faqat KHuda par hai
wahi achchhe jo KHana-viran hain
ghar banana fasad ka ghar hai
KHwab mein bu-e-yar aati hai
farsh to farsh ghar moattar hai
kyon na chamke ghazal tamam ai 'rashk'
munh ka mazmun mah-e-anwar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.