dil na raushan hua daulat ke parastaron ka
dil na raushan huā daulat ke parastāroñ kā
nuur baḌhtā hī rahā shahr ke mīnāroñ kā
zaḳhm riste hue ban jaatā hai aksar nāsūr
kaam marham ne kiyā ho jahāñ angāroñ kā
rail kī paTrī pe rakkhī hai vo gaThrī dekho
jurm poshīda rahā jis meñ siyah-kāroñ kā
mahv-e-hairat huuñ vahāñ izzat-e-fankār ga.ī
chal gayā sikka jahāñ hāshiya-bardāroñ kā
zindagī ashk-e-nadāmat liye phirtī hai 'ra.īs'
roz uThtā hai janāza yahāñ fankāroñ kā
dil na raushan hua daulat ke parastaron ka
nur baDhta hi raha shahr ke minaron ka
zaKHm riste hue ban jata hai aksar nasur
kaam marham ne kiya ho jahan angaron ka
rail ki paTri pe rakkhi hai wo gaThri dekho
jurm poshida raha jis mein siyah-karon ka
mahw-e-hairat hun wahan izzat-e-fankar gai
chal gaya sikka jahan hashiya-bardaron ka
zindagi ashk-e-nadamat liye phirti hai 'rais'
roz uThta hai janaza yahan fankaron ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.