dil nahin dil ka iztirab nahin
dil nahīñ dil kā iztirāb nahīñ
sāġhar-e-jam nahīñ sharāb nahīñ
daur ye daur-e-inqilāb nahīñ
barq meñ bhī to pech-o-tāb nahīñ
barq to hai magar sahāb nahīñ
dhuup hai aur āftāb nahīñ
shauq-e-nākām hī sahī lekin
husn bhī aaj kāmyāb nahīñ
din meñ tārīkī-e-shab-e-ġham hai
ye haqīqat hai koī ḳhvāb nahīñ
ai nasīm-e-sahar chaman meñ kyoñ
lāla-o-gul meñ āb-o-tāb nahīñ
aadmī aadmī kā dushman hai
ik tamāsha hai inqalāb nahīñ
is ko māhaul ne ḳharāb kiyā
aadmī fitratan ḳharāb nahīñ
bāġhbāñ shāḳh-e-gul se hai nārāz
barq ab mūrid-e-itāb nahīñ
sahn-e-gulshan meñ aaj abr-e-karam
ek ham haiñ ki faizyāb nahīñ
kuchh dinoñ se na jaane kyoñ dil meñ
ik ḳhalish sī hai iztirāb nahīñ
ab mire un ke darmiyāñ 'amjad'
koī parda nahīñ hijāb nahīñ
dil nahin dil ka iztirab nahin
saghar-e-jam nahin sharab nahin
daur ye daur-e-inqilab nahin
barq mein bhi to pech-o-tab nahin
barq to hai magar sahab nahin
dhup hai aur aaftab nahin
shauq-e-nakaam hi sahi lekin
husn bhi aaj kaamyab nahin
din mein tariki-e-shab-e-gham hai
ye haqiqat hai koi KHwab nahin
ai nasim-e-sahar chaman mein kyon
lala-o-gul mein aab-o-tab nahin
aadmi aadmi ka dushman hai
ek tamasha hai inqalab nahin
is ko mahaul ne KHarab kiya
aadmi fitratan KHarab nahin
baghban shaKH-e-gul se hai naraaz
barq ab murid-e-itab nahin
sahn-e-gulshan mein aaj abr-e-karam
ek hum hain ki faizyab nahin
kuchh dinon se na jaane kyon dil mein
ek KHalish si hai iztirab nahin
ab mere un ke darmiyan 'amjad'
koi parda nahin hijab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.