dil-nashin hai naqsh teri shoKHi-e-tahrir ka
dil-nashīñ hai naqsh terī shoḳhi-e-tahrīr kā
miTnā to anjām hai har paikar-e-tasvīr kā
zor-e-vahshat ho gayā rusvā sar-e-sahrā-e-shauq
hañs rahā hai mujh pe har halqa mirī zanjīr kā
dekh kar mujh ko muqābil dekh kar apnā harīf
dekh le vo uḌ gayā paanī tirī shamshīr kā
har shikan bistar kī hai ā.īna-dār-e-kaifiyat
raat bhar jhagḌā rahā taqdīr se tadbīr kā
apnī barbādī pe ḳhush hone kā kuchh sāmān kar
koī pahlū DhūñD le taḳhrīb meñ ta.amīr kā
yaad āye.gā ḳhudā us ko mire marne ke baad
maiñ to īmāñ le ke Dūbūñgā but-e-be-pīr kā
shā.erī tarz-e-suḳhan meñ 'ḳhizr' kuchh āsāñ nahīñ
sher kah lenā bhī to laanā hai jū-e-shīr kā
dil-nashin hai naqsh teri shoKHi-e-tahrir ka
miTna to anjam hai har paikar-e-taswir ka
zor-e-wahshat ho gaya ruswa sar-e-sahra-e-shauq
hans raha hai mujh pe har halqa meri zanjir ka
dekh kar mujh ko muqabil dekh kar apna harif
dekh le wo uD gaya pani teri shamshir ka
har shikan bistar ki hai aaina-dar-e-kaifiyat
raat bhar jhagDa raha taqdir se tadbir ka
apni barbaadi pe KHush hone ka kuchh saman kar
koi pahlu DhunD le taKHrib mein tamir ka
yaad aayega KHuda us ko mere marne ke baad
main to iman le ke Dubunga but-e-be-pir ka
shaeri tarz-e-suKHan mein 'KHizr' kuchh aasan nahin
sher kah lena bhi to lana hai ju-e-shir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.