dil-nashin jo raqs-o-gardish jam ki surat mein hai
dil-nashīñ jo raqs-o-gardish jaam kī sūrat meñ hai
vo surūr-o-kaif ik hangām kī sūrat meñ hai
jism hai simTā huā har saañs hai sahmā huā
kaun sī shai gardish-e-ayyām kī sūrat meñ hai
be-karāñ ġham kā samundar dard kī ūñchī fasīl
zindagī ke shahr meñ ārām kī sūrat meñ hai
pheñk duuñ kis ko samajh meñ ye nahīñ aatā mujhe
har ghaḌī har lamha mere kaam kī sūrat meñ hai
us ne baḳhshī thī kabhī 'betāb' jo bū-e-latīf
aaj tak siine meñ vo gulfām kī sūrat meñ hai
dil-nashin jo raqs-o-gardish jam ki surat mein hai
wo surur-o-kaif ek hangam ki surat mein hai
jism hai simTa hua har sans hai sahma hua
kaun si shai gardish-e-ayyam ki surat mein hai
be-karan gham ka samundar dard ki unchi fasil
zindagi ke shahr mein aaram ki surat mein hai
phenk dun kis ko samajh mein ye nahin aata mujhe
har ghaDi har lamha mere kaam ki surat mein hai
us ne baKHshi thi kabhi 'betab' jo bu-e-latif
aaj tak sine mein wo gulfam ki surat mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.