Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ne chaha tha jise apne sahaare ki tarah

Awais ul Hassan Khan

dil ne chaha tha jise apne sahaare ki tarah

Awais ul Hassan Khan

MORE BYAwais ul Hassan Khan

    dil ne chāhā thā jise apne sahāre tarah

    ġham usī shaḳhs bhaḌkā hai sharāre tarah

    terā ehsān na bhūlūñgā ġham-e-yār ki

    roz sajtā hai mirī aañkh meñ taare tarah

    kitne ilhām ke rañgoñ se rañgā hai chehra

    jis ko paḌhtā huuñ maiñ qur.ān ke paare tarah

    sho.ala lapkā hai tire husn aise bhī kabhī

    sher mere bhī hue shoḳh añgāre tarah

    ik nishāñ ret pe dekhā thā musalsal bante

    marte lamhoñ meñ kahīñ duur kināre tarah

    gudgudātā hai tirī yaad mausam dil ko

    khilkhilāte hue phūloñ ke nazāre tarah

    vasl ke pal bhī bujhī raakh sūrat Thahre

    sard-mehrī se kiye ek ishāre tarah

    dil ne chaha tha jise apne sahaare ki tarah

    gham usi shaKHs ka bhaDka hai sharare ki tarah

    tera ehsan na bhulunga gham-e-yar ki tu

    roz sajta hai meri aankh mein tare ki tarah

    kitne ilham ke rangon se ranga hai chehra

    jis ko paDhta hun main quran ke pare ki tarah

    shoala lapka hai tere husn ka aise bhi kabhi

    sher mere bhi hue shoKH angare ki tarah

    ek nishan ret pe dekha tha musalsal bante

    marte lamhon mein kahin dur kinare ki tarah

    gudgudata hai teri yaad ka mausam dil ko

    khilkhilate hue phulon ke nazare ki tarah

    wasl ke pal bhi bujhi rakh ki surat Thahre

    sard-mehri se kiye ek ishaare ki tarah

    Source :
    • Book : al-aqraba magazine islamabad Pakistan quarterly-July-september-2015 (Pg. (شائع شدہ سہ ماہی الاقرباء اسلام آباد پاکستان شمارہ جولائی .ستمبر ۲۰۱۵))
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now