dil ne dhire se koi lafz kaha sham ke baad
dil ne dhīre se koī lafz kahā shaam ke baad
ek dar band huā ek khulā shaam ke baad
terī yādoñ kā darīcha jo khulā shaam ke baad
tiir barsāne lagī sard havā shaam ke baad
dasht-e-ehsās meñ sannāTā ye kaisā phailā
kisī aahaT ne ta.āqub na kiyā shaam ke baad
din mashaqqat ke jahannum meñ guzārā maiñ ne
DhūñDne niklā huuñ ab taaza havā shaam ke baad
din ko sāmān-e-tamāshā thā zamāne ke liye
apnī tanhā.ī kā andāza huā shaam ke baad
ik faqat lamha-e-maujūd hai merā honā
ḳhud mirī zaat pe ye uqda khulā shaam ke baad
ek miTTī kā diyā us pe tahayyur kaisā
dekhne aa.ī jise bād-e-sabā shaam ke baad
'sabr' jab ism-e-mohammad kā ujālā māñgā
mere siine pe khulā ġhār-e-hirā shaam ke baad
dil ne dhire se koi lafz kaha sham ke baad
ek dar band hua ek khula sham ke baad
teri yaadon ka daricha jo khula sham ke baad
tir barsane lagi sard hawa sham ke baad
dasht-e-ehsas mein sannaTa ye kaisa phaila
kisi aahaT ne taaqub na kiya sham ke baad
din mashaqqat ke jahannum mein guzara main ne
DhunDne nikla hun ab taza hawa sham ke baad
din ko saman-e-tamasha tha zamane ke liye
apni tanhai ka andaza hua sham ke baad
ek faqat lamha-e-maujud hai mera hona
KHud meri zat pe ye uqda khula sham ke baad
ek miTTi ka diya us pe tahayyur kaisa
dekhne aai jise baad-e-saba sham ke baad
'sabr' jab ism-e-mohammad ka ujala manga
mere sine pe khula ghaar-e-hira sham ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.