dil ne girya na kiya aankh ne wahshat nahin ki
dil ne girya na kiyā aañkh ne vahshat nahīñ kī
maiñ ne is 'ishq meñ be-kār kī zahmat nahīñ kī
shāh-zādī ne is andāz se rokā ik din
phir qabīle se kisī shaḳhs ne hijrat nahīñ kī
bādshāhā tire darbāriyoñ ko 'ilm nahīñ
marsiya likkhā hai maiñ ne tirī mid.hat nahīñ kī
jis ko taslīm kiyā dil ne usī ko maanā
aap se aadmī kī maiñ ne himāyat nahīñ kī
vaqt shāhid hai bhale nok-e-sināñ tak pahuñche
mere jaisoñ ne tire jaise kī bai'at nahīñ kī
vo bhī kuchh soch ke ḳhāmosh khaḌā thā 'qāsim'
aur kuchh kahne ko apnī bhī tabī'at nahīñ kī
dil ne girya na kiya aankh ne wahshat nahin ki
main ne is 'ishq mein be-kar ki zahmat nahin ki
shah-zadi ne is andaz se roka ek din
phir qabile se kisi shaKHs ne hijrat nahin ki
baadshaha tere darbariyon ko 'ilm nahin
marsiya likkha hai main ne teri midhat nahin ki
jis ko taslim kiya dil ne usi ko mana
aap se aadmi ki main ne himayat nahin ki
waqt shahid hai bhale nok-e-sinan tak pahunche
mere jaison ne tere jaise ki bai'at nahin ki
wo bhi kuchh soch ke KHamosh khaDa tha 'qasim'
aur kuchh kahne ko apni bhi tabi'at nahin ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.