dil ne jab fikr-o-agahi ki hai
dil ne jab fikr-o-āgahī kī hai
apnī duniyā meñ raushnī kī hai
ham ne paa.ī hai parvarish ġham meñ
phir bhī hañs hañs ke zindagī kī hai
ham jo bhaTke haiñ ġham kī vaadī meñ
un kī yādoñ ne rahbarī kī hai
aaj bhī is bhare zamāne meñ
kuchh kamī hai to aadmī kī hai
jab se phūloñ ne saath hī chhoḌā
ham ne kāñToñ se dostī kī hai
Duub kar apnī zaat meñ 'maqsūd'
ham ne kyā kyā shanāvarī kī hai
dil ne jab fikr-o-agahi ki hai
apni duniya mein raushni ki hai
hum ne pai hai parwarish gham mein
phir bhi hans hans ke zindagi ki hai
hum jo bhaTke hain gham ki wadi mein
un ki yaadon ne rahbari ki hai
aaj bhi is bhare zamane mein
kuchh kami hai to aadmi ki hai
jab se phulon ne sath hi chhoDa
hum ne kanTon se dosti ki hai
Dub kar apni zat mein 'maqsud'
hum ne kya kya shanawari ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.