dil ne jine ki jab se Thani hai
dil ne jiine kī jab se Thānī hai
kitnī pur-kaif zindagānī hai
ye kahāñ vaqt ham ko le aaya
ḳhuun sastā hai mahñgā paanī hai
dekh kar un ko muskurā.e jo ham
vo ye samjhe ki shādmānī hai
kab vo mehnat se muñh chhupāte haiñ
jin ko taqdīr āzmānī hai
jaan se bhī ziyāda mujh ko aziiz
dard-e-dil jo tirī nishānī hai
saarī duniyā ko hech samjhoge
jab talak josh hai javānī hai
dekho mat haath kī lakīr 'sharar'
sirf mehnat meñ kāmrānī hai
dil ne jine ki jab se Thani hai
kitni pur-kaif zindagani hai
ye kahan waqt hum ko le aaya
KHun sasta hai mahnga pani hai
dekh kar un ko muskurae jo hum
wo ye samjhe ki shadmani hai
kab wo mehnat se munh chhupate hain
jin ko taqdir aazmani hai
jaan se bhi ziyaada mujh ko aziz
dard-e-dil jo teri nishani hai
sari duniya ko hech samjhoge
jab talak josh hai jawani hai
dekho mat hath ki lakir 'sharar'
sirf mehnat mein kaamrani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.