dil ne kaha tha kafi pahle ishq ka ek afsana likh
dil ne kahā thā kaafī pahle ishq kā ik afsāna likh
begānoñ ko apnā likh de apnoñ ko begāna likh
pichhlī rutoñ meñ ḳhuun kī bārish āñkhoñ se jab barsī thī
us manzar kā aks banā us aks pe tū dīvāna likh
jaltī bujhtī sham.a sahar tak jaise taise chaltī hai
jo lamhoñ meñ ḳhaak huā hai likh us ko parvāna likh
dīvāne the ham donoñ hī apne meñ ḳhush rahte the
biich meñ jis ne nafrat boī tū us ko farzāna likh
sher meñ aksar bāteñ sattar sattar ma.anī rakhtī haiñ
pardoñ kā ye jhanjhaT chhoḌ de jur.at kar rindāna likh
in āñkhoñ ne kaise kaise manzar dekhe duniyā meñ
duniyā-dārī karnī hai to āñkhoñ ko tah-ḳhāna likh
'dānish' tū ne ḳhuub likhā hai lafzoñ se bhī khelā hai
lekin jo bedār hue un zaḳhmoñ kā jurmāna likh
dil ne kaha tha kafi pahle ishq ka ek afsana likh
beganon ko apna likh de apnon ko begana likh
pichhli ruton mein KHun ki barish aankhon se jab barsi thi
us manzar ka aks bana us aks pe tu diwana likh
jalti bujhti shama sahar tak jaise taise chalti hai
jo lamhon mein KHak hua hai likh us ko parwana likh
diwane the hum donon hi apne mein KHush rahte the
bich mein jis ne nafrat boi tu us ko farzana likh
sher mein aksar baaten sattar sattar mani rakhti hain
pardon ka ye jhanjhaT chhoD de jurat kar rindana likh
in aankhon ne kaise kaise manzar dekhe duniya mein
duniya-dari karni hai to aankhon ko tah-KHana likh
'danish' tu ne KHub likha hai lafzon se bhi khela hai
lekin jo bedar hue un zaKHmon ka jurmana likh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.