dil ne khinchi hai teri zulf ke sar hone tak
dil ne khīñchī hai tirī zulf ke sar hone tak
vo jo qatre pe guzartī hai guhar hone tak
pahlā ehsās-e-tarab hī alam-afzā niklā
dekheñ kyā haal ho ehsās-e-digar hone tak
lā mai-e-nāb ki shādābī-e-gul-hā-e-ḳhayāl
ruuTh jaa.e na bahāroñ kā guzar hone tak
sham' hī par nahīñ mauqūf mai-o-naġhma-o-gul
sard ho jaa.e hai har chiiz sahar hone tak
ham ko pahchān hī legī kabhī rahmat terī
'aib ko vaqt hai darkār hunar hone tak
baa'd is ke koī taqrīb nahīñ hai ġham kī
aaj tum paas raho mere sahar hone tak
tum ko nāhaq yūñhī taklīf-e-ḳhabar kyā denā
ham ko rahnā hī nahīñ tum ko ḳhabar hone tak
vaqt se pahle bhī kaT jaatī hai mohlat ġham kī
sham' har raat nahīñ jaltī sahar hone tak
kitnī mastī thī 'adam' ġhuncha-o-gul par taarī
gulsitāñ meñ mirī tardīd-e-nazar hone tak
dil ne khinchi hai teri zulf ke sar hone tak
wo jo qatre pe guzarti hai guhar hone tak
pahla ehsas-e-tarab hi alam-afza nikla
dekhen kya haal ho ehsas-e-digar hone tak
la mai-e-nab ki shadabi-e-gul-ha-e-KHayal
ruTh jae na bahaaron ka guzar hone tak
sham' hi par nahin mauquf mai-o-naghma-o-gul
sard ho jae hai har chiz sahar hone tak
hum ko pahchan hi legi kabhi rahmat teri
'aib ko waqt hai darkar hunar hone tak
ba'd is ke koi taqrib nahin hai gham ki
aaj tum pas raho mere sahar hone tak
tum ko nahaq yunhi taklif-e-KHabar kya dena
hum ko rahna hi nahin tum ko KHabar hone tak
waqt se pahle bhi kaT jati hai mohlat gham ki
sham' har raat nahin jalti sahar hone tak
kitni masti thi 'adam' ghuncha-o-gul par tari
gulsitan mein meri tardid-e-nazar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.