dil ne kya kya tere jaane pe duhai nahin di
dil ne kyā kyā tire jaane pe duhā.ī nahīñ dī
shor itnā thā ki āvāz sunā.ī nahīñ dī
tujh se bichhḌe the ki phir saiñkaḌoñ dil toḌ diye
bad-havāsī meñ koī raah sujhā.ī nahīñ dī
tū ne us shaḳhs se milnā thā to mujh se kahtā
phuul dekhā hai faqat ḳhushbū dikhā.ī nahīñ dī
lamha lamha vo duā ban ke mire saath rahā
jaane vaale ne kabhī mujh ko judā.ī nahīñ dī
āḳhirī vaar mohabbat pe kiyā thā us ne
āḳhirī baar use maiñ ne safā.ī nahīñ dī
vo kisī aur kā ho ke bhī mujhe miltā rahā
us ne darvāza khulā chhoḌā rihā.ī nahīñ dī
dil ne kya kya tere jaane pe duhai nahin di
shor itna tha ki aawaz sunai nahin di
tujh se bichhDe the ki phir sainkaDon dil toD diye
bad-hawasi mein koi rah sujhai nahin di
tu ne us shaKHs se milna tha to mujh se kahta
phul dekha hai faqat KHushbu dikhai nahin di
lamha lamha wo dua ban ke mere sath raha
jaane wale ne kabhi mujh ko judai nahin di
aaKHiri war mohabbat pe kiya tha us ne
aaKHiri bar use main ne safai nahin di
wo kisi aur ka ho ke bhi mujhe milta raha
us ne darwaza khula chhoDa rihai nahin di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.