dil ne subu to aankh ne saghar uTha liya
dil ne subū to aañkh ne sāġhar uThā liyā
donoñ ne apnā apnā muqaddar uThā liyā
maazī kā phuul haal kā patthar uThā liyā
jo mil gayā ġhazal kī zamīñ par uThā liyā
majbūriyoñ kā us kī kuchh andāza kījiye
kāñTe ko jis ne phuul samajh kar uThā liyā
itnī chamak thī ashk-e-ġham-e-rozgār meñ
har qatre ko samajh ke maiñ gauhar uThā liyā
kyoñ laġhzish-e-qadam ko maiñ apnī duā na duuñ
mujh ko kisī ne haath baḌhā kar uThā liyā
jab bujh sakī na pyaas to pyāsī nigāh ne
āñkhoñ meñ band kar ke samundar uThā liyā
jis se na uTh sakī kabhī ik shāḳh-e-gul 'nasīb'
hairat hai aise haath ne ḳhanjar uThā liyā
dil ne subu to aankh ne saghar uTha liya
donon ne apna apna muqaddar uTha liya
mazi ka phul haal ka patthar uTha liya
jo mil gaya ghazal ki zamin par uTha liya
majburiyon ka us ki kuchh andaza kijiye
kanTe ko jis ne phul samajh kar uTha liya
itni chamak thi ashk-e-gham-e-rozgar mein
har qatre ko samajh ke main gauhar uTha liya
kyon laghzish-e-qadam ko main apni dua na dun
mujh ko kisi ne hath baDha kar uTha liya
jab bujh saki na pyas to pyasi nigah ne
aankhon mein band kar ke samundar uTha liya
jis se na uTh saki kabhi ek shaKH-e-gul 'nasib'
hairat hai aise hath ne KHanjar uTha liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.