dil-o-dimagh ko taskin-e-iztirab to de
dil-o-dimagh ko taskin-e-iztirab to de
Ghulam Dastageer Sharar
MORE BYGhulam Dastageer Sharar
dil-o-dimāġh ko taskīn-e-iztirāb to de
mire savāloñ kā āḳhir koī javāb to de
pighal na jaa.e kahīñ aañch se tū qurbat kī
baḌhā ke fāsle kuchh rang-e-ijtināb to de
tasavvurāt meñ raushan ho chāñd sā chehra
shab-e-siyāh kī āñkhoñ meñ nūr-e-ḳhvāb to de
sajā banā huā chehra sharāratī āñkheñ
jagā rahī haiñ ye fitne inheñ hijāb to de
shumār kartā hai ġhairoñ ke hī gunāhoñ ko
kabhī tū apnī ḳhatāoñ kā bhī hisāb to de
hamesha ḳhaar nigāhoñ se dekhtā hai mujhe
kabhī zabān se khilte hue gulāb to de
har ik varaq pe raqam nafrateñ milīñ ham ko
kabhī zabān se khilte hue gulāb to de
shuā-e-ilm se raushan 'sharar' hai ye duniyā
zavāl jis ko na ho aisā āftāb to de
dil-o-dimagh ko taskin-e-iztirab to de
mere sawalon ka aaKHir koi jawab to de
pighal na jae kahin aanch se tu qurbat ki
baDha ke fasle kuchh rang-e-ijtinab to de
tasawwuraat mein raushan ho chand sa chehra
shab-e-siyah ki aankhon mein nur-e-KHwab to de
saja bana hua chehra shararati aankhen
jaga rahi hain ye fitne inhen hijab to de
shumar karta hai ghairon ke hi gunahon ko
kabhi tu apni KHataon ka bhi hisab to de
hamesha KHar nigahon se dekhta hai mujhe
kabhi zaban se khilte hue gulab to de
har ek waraq pe raqam nafraten milin hum ko
kabhi zaban se khilte hue gulab to de
shua-e-ilm se raushan 'sharar' hai ye duniya
zawal jis ko na ho aisa aaftab to de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.