dil-o-dimagh mein kaisa bhanwar bana hua hai
dil-o-dimāġh meñ kaisā bhañvar banā huā hai
zamīr mere liye dard-e-sar banā huā hai
maiñ apnī chhat ke liye kāTtā zarūr magar
shajar meñ kitne parindoñ kā ghar banā huā hai
tum is bharose ko phir se bhī toḌ sakte ho
jo taaza taaza abhī TuuT kar banā huā hai
kahīñ to naqb lagātī haiñ rāt-din sāñseñ
fasīl-e-zāt meñ koī to dar banā huā hai
maiñ kaise mom karūñ mom jaise shaḳhs ko bhī
vo jān-būjh ke patthar agar banā huā hai
lagegī der use ret par utārne meñ
vahī jo naqsh abhī aap par banā huā hai
hamāre dard ke qisse bayān kar kar ke
suḳhnavaroñ meñ baḌā mo'atabar banā huā hai
maiñ apnī had se tajāvuz karūñ to kaise karūñ
mirā mazār mirī zaat par banā huā hai
dil-o-dimagh mein kaisa bhanwar bana hua hai
zamir mere liye dard-e-sar bana hua hai
main apni chhat ke liye kaTta zarur magar
shajar mein kitne parindon ka ghar bana hua hai
tum is bharose ko phir se bhi toD sakte ho
jo taza taza abhi TuT kar bana hua hai
kahin to naqb lagati hain raat-din sansen
fasil-e-zat mein koi to dar bana hua hai
main kaise mom karun mom jaise shaKHs ko bhi
wo jaan-bujh ke patthar agar bana hua hai
lagegi der use ret par utarne mein
wahi jo naqsh abhi aap par bana hua hai
hamare dard ke qisse bayan kar kar ke
suKHnawaron mein baDa mo'atabar bana hua hai
main apni had se tajawuz karun to kaise karun
mera mazar meri zat par bana hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.