dil-o-dimagh pe ab ke ghuTan bala ki hai
dil-o-dimāġh pe ab ke ghuTan balā kī hai
havā ke saath zarūrat mujhe du'ā kī hai
bichhaḌ rahe haiñ mohabbat meñ bad-gumāñ ho kar
yahāñ se us ne fasāne kī ibtidā kī hai
sab apne naam kī taḳhtī lagā.e baiThe haiñ
pata sabhī ko hai ye saltanat ḳhudā kī hai
har ek dhun pe thiraknā hamāre bas kā nahīñ
hamāre jism ko 'ādat usī sadā kī hai
ye saaf saaf 'ibārat ye pur-sukūñ manzar
tumhārī āñkhoñ meñ tasvīr kis jagah kī hai
dil-o-dimagh pe ab ke ghuTan bala ki hai
hawa ke sath zarurat mujhe du'a ki hai
bichhaD rahe hain mohabbat mein bad-guman ho kar
yahan se us ne fasane ki ibtida ki hai
sab apne nam ki taKHti lagae baiThe hain
pata sabhi ko hai ye saltanat KHuda ki hai
har ek dhun pe thirakna hamare bas ka nahin
hamare jism ko 'adat usi sada ki hai
ye saf saf 'ibarat ye pur-sukun manzar
tumhaari aankhon mein taswir kis jagah ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.