dil-o-dimagh pe aise wo chhae jate hain
dil-o-dimāġh pe aise vo chhā.e jaate haiñ
ki ham bhī ḳhvāb meñ duniyā basā.e jaate haiñ
‘adāvatoñ se bharī hai ye ḳhūb-rū duniyā
so ham charāġh-e-mohabbat jalā.e jaate haiñ
chale chalo na bulāve kā intizār karo
ki un kī diid ko sab bin-bulā.e jaate haiñ
hamāre 'ishq se jin ko milī yahāñ shohrat
ġhazab hai aaj hamīñ ko bhulā.e jaate haiñ
abhī to rū-e-suḳhan bhī huā na merī taraf
abhī se aap tasavvur meñ aa.e jaate haiñ
nazar unhīñ ke liye thī jigar unhīñ ke liye
vahī jo aaj nazar bhī churā.e jaate haiñ
sila mile na mile justujū ye kis ko hai
ki ham to apnī taraf se nibhā.e jaate haiñ
dil-o-dimagh pe aise wo chhae jate hain
ki hum bhi KHwab mein duniya basae jate hain
‘adawaton se bhari hai ye KHub-ru duniya
so hum charagh-e-mohabbat jalae jate hain
chale chalo na bulawe ka intizar karo
ki un ki did ko sab bin-bulae jate hain
hamare 'ishq se jin ko mili yahan shohrat
ghazab hai aaj hamin ko bhulae jate hain
abhi to ru-e-suKHan bhi hua na meri taraf
abhi se aap tasawwur mein aae jate hain
nazar unhin ke liye thi jigar unhin ke liye
wahi jo aaj nazar bhi churae jate hain
sila mile na mile justuju ye kis ko hai
ki hum to apni taraf se nibhae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.