dil-o-jaan us pe luTata rahun
dil-o-jān us pe luTātā rahūñ
maiñ furqat meñ dil ko jalātā rahūñ
mileñgī kabhī to mujhe manzileñ
muqaddar ko maiñ āzmātā rahūñ
vo milne mujhe ā.eñge ek din
mirā kaam hai ki bulātā rahūñ
mire paas us kī jo tasvīr hai
usī se maiñ dil ko lubhātā rahūñ
bahut ḳhūb-rū hai vo merā sanam
use dekh kar muskurātā rahūñ
guzar us kā honā ho jis raah se
maiñ us rah pe āñkheñ bichhātā rahūñ
mire paas 'sāġhar' vo baiThā rahe
vo suntā rahe maiñ sunātā rahūñ
dil-o-jaan us pe luTata rahun
main furqat mein dil ko jalata rahun
milengi kabhi to mujhe manzilen
muqaddar ko main aazmata rahun
wo milne mujhe aaenge ek din
mera kaam hai ki bulata rahun
mere pas us ki jo taswir hai
usi se main dil ko lubhata rahun
bahut KHub-ru hai wo mera sanam
use dekh kar muskuraata rahun
guzar us ka hona ho jis rah se
main us rah pe aankhen bichhata rahun
mere pas 'saghar' wo baiTha rahe
wo sunta rahe main sunata rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.