dil-o-jigar to kisi dilruba ne luT liya
dil-o-jigar to kisī dilrubā ne luuT liyā
bachī thī jaan so us ko qazā ne luuT liyā
dikhā ke dast-e-hinā.ī vo hañs ke kahte haiñ
shafaq ke rang ko rang-e-hinā ne luuT liyā
guzar ga.ī yūñhī chup-chāp haa.e saarī raat
mazā visāl kā sharm-o-hayā ne luuT liyā
sunā ke naġhma-e-dilkash kabhī dikhā ke jhalak
hamāre dil ko kisī dilrubā ne luuT liyā
havās-o-hosh ko gum kar diyā hai ulfat ne
qarār-o-zabt ko nāz-o-adā ne luuT liyā
hamārā naaz kā paalā huā thā dil hamdam
use nasīb se ik dilrubā ne luuT liyā
sadā-e-haq jo thī 'sanjar' jahāñ meñ guuñj uThī
zabāñ se lafz jo niklā sabā ne luuT liyā
dil-o-jigar to kisi dilruba ne luT liya
bachi thi jaan so us ko qaza ne luT liya
dikha ke dast-e-hinai wo hans ke kahte hain
shafaq ke rang ko rang-e-hina ne luT liya
guzar gai yunhi chup-chap hae sari raat
maza visal ka sharm-o-haya ne luT liya
suna ke naghma-e-dilkash kabhi dikha ke jhalak
hamare dil ko kisi dilruba ne luT liya
hawas-o-hosh ko gum kar diya hai ulfat ne
qarar-o-zabt ko naz-o-ada ne luT liya
hamara naz ka pala hua tha dil hamdam
use nasib se ek dilruba ne luT liya
sada-e-haq jo thi 'sanjar' jahan mein gunj uThi
zaban se lafz jo nikla saba ne luT liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.