dil-o-nazar ko na kuchh aur sogwar karen
dil-o-nazar ko na kuchh aur sogvār kareñ
tum apnī yādoñ se kah do na be-qarār kareñ
kabhī kisī kī taraf hai kabhī kisī kī taraf
nigāh-e-shauq tirā kaise e.atibār kareñ
jo log DhūñD rahe haiñ guhar vafāoñ ke
unheñ batāo ġharīboñ se pahle pyaar kareñ
jo shā.erī ko siyāsat banā.e baiThe haiñ
ḳhudā ke vāste kuchh aur kārobār kareñ
bahut latīf hai urdu ġhazal kā pairāhan
karaḳht lahje se us ko na taar taar kareñ
tamām ahl-e-adab se ye arz hai nīlam
vo ḳhādimān-e-adab meñ mirā shumār kareñ
dil-o-nazar ko na kuchh aur sogwar karen
tum apni yaadon se kah do na be-qarar karen
kabhi kisi ki taraf hai kabhi kisi ki taraf
nigah-e-shauq tera kaise eatibar karen
jo log DhunD rahe hain guhar wafaon ke
unhen batao gharibon se pahle pyar karen
jo shaeri ko siyasat banae baiThe hain
KHuda ke waste kuchh aur karobar karen
bahut latif hai urdu ghazal ka pairahan
karaKHt lahje se us ko na tar tar karen
tamam ahl-e-adab se ye arz hai nilam
wo KHadiman-e-adab mein mera shumar karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.