dil-o-nigah ki sari latafaten bhi gain
dil-o-nigāh kī saarī latāfateñ bhī ga.iiñ
basīratoñ kī talab meñ basārteñ bhī ga.iiñ
ga.e dinoñ kī jahāñ tak amānateñ bhī ga.iiñ
na.ī rutoñ kī mahaktī bashārateñ bhī ga.iiñ
samā.atoñ kī fasīleñ to phāñd aa.ī sadā
kabhī hisār-e-sadā tak samā.ateñ bhī ga.iiñ
mirī kathā jo ga.ī tā-dayār-e-shīsha-o-sang
lahūluhān diloñ kī hikāyateñ bhī ga.iiñ
harā-bharā mujhe rakhtī thiiñ jo har ik rut meñ
vo shāḳh-sār-e-badan kī harārateñ bhī ga.iiñ
ġhazal kā sadiyoñ purānā libās yuuñ badlā
ki fikr-o-fan kī mohazzab rivāyateñ bhī ga.iiñ
ba-nām-e-dard mire dil ko jo mayassar thiiñ
'atīq' ab to vo be-nām rāhateñ bhī ga.iiñ
dil-o-nigah ki sari latafaten bhi gain
basiraton ki talab mein basarten bhi gain
gae dinon ki jahan tak amanaten bhi gain
nai ruton ki mahakti bashaaraten bhi gain
samaaton ki fasilen to phand aai sada
kabhi hisar-e-sada tak samaaten bhi gain
meri katha jo gai ta-dayar-e-shisha-o-sang
lahuluhan dilon ki hikayaten bhi gain
hara-bhara mujhe rakhti thin jo har ek rut mein
wo shaKH-sar-e-badan ki hararaten bhi gain
ghazal ka sadiyon purana libas yun badla
ki fikr-o-fan ki mohazzab riwayaten bhi gain
ba-nam-e-dard mere dil ko jo mayassar thin
'atiq' ab to wo be-nam rahaten bhi gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.