dil-o-nigah mein jaise Thahar gaya mausam
dil-o-nigāh meñ jaise Thahar gayā mausam
tumhāre baad na badlā ye dard kā mausam
guzar chuke haiñ nazar se hazār-hā mausam
kisī ke va.ada-e-shab kā na aa sakā mausam
bichhaḌ ga.e ho agar tum to mar na jā.ūñgā
bichhaḌ ke aap se marne kā thā judā mausam
ḳhizāñ kī rut bhī bahāroñ ke saath chaltī hai
kahāñ vo baaġh ki jis meñ ho ek sā mausam
kahāñ ye vasl kī be-kaif be-mazā ghaḌiyāñ
kahāñ vo terī judā.ī kā ḳhushnumā mausam
dil-o-nigah mein jaise Thahar gaya mausam
tumhaare baad na badla ye dard ka mausam
guzar chuke hain nazar se hazar-ha mausam
kisi ke wada-e-shab ka na aa saka mausam
bichhaD gae ho agar tum to mar na jaunga
bichhaD ke aap se marne ka tha juda mausam
KHizan ki rut bhi bahaaron ke sath chalti hai
kahan wo bagh ki jis mein ho ek sa mausam
kahan ye wasl ki be-kaif be-maza ghaDiyan
kahan wo teri judai ka KHushnuma mausam
- Book : پیاس نگر میں پہلی بارش (Pg. 17)
- Author : لطیف شاہ شاہد
- Publication : انجمن ادبیات سرحد(رجسٹرڈ) اکوڑہ خٹک (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.