Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil par ek naqsh mohabbat ka ubhaaren to sahi

Musavvir Lakhnavi

dil par ek naqsh mohabbat ka ubhaaren to sahi

Musavvir Lakhnavi

MORE BYMusavvir Lakhnavi

    dil par ik naqsh mohabbat ubhāreñ to sahī

    zindagī apnī sañvar jaa.e sañvāreñ to sahī

    ziist añdheroñ se nikal kar mah-e-kāmil ban jaa.e

    us yādoñ se zarā dil ko nikhāreñ to sahī

    be-niyāzī hai jahāñ lutf-o-karam bhī haiñ vahāñ

    us ko pyaar aur mohabbat se pukāreñ to sahī

    itnā mil jaa.e ki duniyā havas miT jaa.e

    us ke aage zarā dāman ko pasāreñ to sahī

    dil āvāz bhī āvāz-e-jaras lagtī hai

    ke vīrāne meñ ik raat guzāreñ to sahī

    mom kar detī hai patthar ko bhī mīThī āvāz

    ham unheñ pyaar se ik baar pukāreñ to sahī

    chāñd bādal meñ chhupā hai to nikal āye.gā

    raat chhāñv meñ vo zulf sañvāreñ to sahī

    dekheñ kyā faisla kartī hai adālat un

    aaj ik pyaar darḳhvāst guzāreñ to sahī

    ho na ho un se mulāqāt 'musavvir' lekin

    un rāhoñ ko nigāhoñ se sañvāreñ to sahī

    dil par ek naqsh mohabbat ka ubhaaren to sahi

    zindagi apni sanwar jae sanwaren to sahi

    zist andheron se nikal kar mah-e-kaamil ban jae

    us ki yaadon se zara dil ko nikhaaren to sahi

    be-niyazi hai jahan lutf-o-karam bhi hain wahan

    us ko pyar aur mohabbat se pukaren to sahi

    itna mil jae ki duniya ki hawas miT jae

    us ke aage zara daman ko pasaren to sahi

    dil ki aawaz bhi aawaz-e-jaras lagti hai

    ja ke virane mein ek raat guzaren to sahi

    mom kar deti hai patthar ko bhi miThi aawaz

    hum unhen pyar se ek bar pukaren to sahi

    chand baadal mein chhupa hai to nikal aayega

    raat ki chhanw mein wo zulf sanwaren to sahi

    dekhen kya faisla karti hai adalat un ki

    aaj ek pyar ki darKHwast guzaren to sahi

    ho na ho un se mulaqat 'musawwir' lekin

    un ki rahon ko nigahon se sanwaren to sahi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now