dil par nigah-e-naz ka jadu jo chal gaya
dil par nigāh-e-nāz kā jaadū jo chal gayā
vo sarhad-e-shu.ūr se aage nikal gayā
chhat par mirī utartī nahīñ dhuup āj-kal
sūraj mire ḳhilāf koī chaal chal gayā
logoñ ne mujh ko apnī nazar se girā diyā
jis din se maiñ ḳhulūs ke sāñche meñ Dhal gayā
kyoñ hañste hañste aañkh se aañsū nikal paḌe
kyoñ yak-ba-yak bahār kā mausam badal gayā
gauhar jise samajhte the sab log shahr meñ
parkhā gayā use to vo patthar nikal gayā
aa.ī thī ban ke aag mire vāste bahār
jis phuul ko bhī maiñ ne chhuā haath jal gayā
sach boltā nahīñ hai koī shaḳhs āj-kal
dekhā jo merā hashr zamāna sañbhal gayā
rakhte the phūñk phūñk ke jab apnā har qadam
raste meñ kaise paañv tumhārā phisal gayā
ummīd jin se amn kī bārish kī thī 'qamar'
un bādaloñ ko vaqt kā sūraj nigal gayā
dil par nigah-e-naz ka jadu jo chal gaya
wo sarhad-e-shuur se aage nikal gaya
chhat par meri utarti nahin dhup aaj-kal
suraj mere KHilaf koi chaal chal gaya
logon ne mujh ko apni nazar se gira diya
jis din se main KHulus ke sanche mein Dhal gaya
kyon hanste hanste aankh se aansu nikal paDe
kyon yak-ba-yak bahaar ka mausam badal gaya
gauhar jise samajhte the sab log shahr mein
parkha gaya use to wo patthar nikal gaya
aai thi ban ke aag mere waste bahaar
jis phul ko bhi main ne chhua hath jal gaya
sach bolta nahin hai koi shaKHs aaj-kal
dekha jo mera hashr zamana sanbhal gaya
rakhte the phunk phunk ke jab apna har qadam
raste mein kaise panw tumhaara phisal gaya
ummid jin se amn ki barish ki thi 'qamar'
un baadalon ko waqt ka suraj nigal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.