dil par tere jalwon ka asar dekh rahe hain
dil par tire jalvoñ kā asar dekh rahe haiñ
yā silsila-e-shams-o-qamar dekh rahe haiñ
ye chāñd sā chehra ye mahaktī huī zulfeñ
ham shaam ke dāman meñ sahar dekh rahe haiñ
yaaro ise faizān-e-ġham-e-ishq hī jaano
palkoñ pe jo ham sail-e-guhar dekh rahe haiñ
shādāb bahāroñ kā chaman chhoḌ ke jaanā
dekhā nahīñ jaatā hai magar dekh rahe haiñ
guzrā hai koī shoḳh-hasīñ dil kī fazā se
ik chāñd sar-e-rāhguzar dekh rahe haiñ
jalvoñ kī fazā dījiye ā.īna-e-dil ko
is samt haiñ ham aap udhar dekh rahe haiñ
'shabbīr' ye ik sham.a jo raushan hai mizha par
ham un kī mohabbat kā samar dekh rahe haiñ
dil par tere jalwon ka asar dekh rahe hain
ya silsila-e-shams-o-qamar dekh rahe hain
ye chand sa chehra ye mahakti hui zulfen
hum sham ke daman mein sahar dekh rahe hain
yaro ise faizan-e-gham-e-ishq hi jaano
palkon pe jo hum sail-e-guhar dekh rahe hain
shadab bahaaron ka chaman chhoD ke jaana
dekha nahin jata hai magar dekh rahe hain
guzra hai koi shoKH-hasin dil ki faza se
ek chand sar-e-rahguzar dekh rahe hain
jalwon ki faza dijiye aaina-e-dil ko
is samt hain hum aap udhar dekh rahe hain
'shabbir' ye ek shama jo raushan hai mizha par
hum un ki mohabbat ka samar dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.